Aapki baat munasib hai meri baat ghalat..
Aapki baat munasib hai meri baat ghalat.. 
Jurm mera hai main MUFLIS hun meri zaat ghalat.. 

Mumtahin pyaar k parchey ka sittamGar aesa.. 
Kaat kar us ney likha saray JAWABAAT ghalat.. 

Kis taraah hotay Bhala meray Jawabaat sahi.. 
Waqat nay mujh say kiye saray Sawalaat ghalat.. 

Munkashif mujh pay na diwaan e gham zeest huwa.. 
Uski tafheem k they saray Nishanaat ghalat.. 

Kis taraah meri duaon me assar ho aakhir.. 
Apna andaaz ghalat tarz e munajaat ghalat.. 

Zindagi meri samajh me nahi Aai ab tak.. 
Naqis ul aqal hoon ya Arz o samawaat ghalat.. 

Hum ko lahaq hai TABASSUM jo taassub ka maraz.. 
Log kehtay hain k hain uski Alamaat ghalat..

Post a Comment

0 Comments