Wo mohabat ki adhori kitaab lagta hai.
Utray na jis ka khumaar wo sharaab lagta hai.
Wo mujh se mujh ko B cheen leta hai.
Mere khyalon ki saltanat ka wo nawaab lagta hai.
Wo sang chalay tu faaslay B simat se jatay hain.
Us k bagair safar e sahil B azaab lagta hai.
Jo poch bethon us se k chor tu na jao gai.
Hans k kehta hai ap ko aisa Q janaab lagta hai.
Mere shab o roz tu usi se mansoob hain.
Zamaany ko chaahay wo jitna B kharaab lagta Hai.
0 Comments