Mujh ko teri zaroorat na maar de

            •Aye shakhs•
Mujh ko teri zaroorat na maar de•
Hota hai jis tarah se mukafat ka amal•
Tujh ko humare baad mohabbat na maar de•
To bech mein na aa, Yeh maslaaa tera nahin•
Teri yeh guftugu meri himmat na maar de•
Jalne do unko aur unhein dekhte raho•
In munkiron ko baghaz-e-wilayat na maar de•
Aisa na ho ke hum na milen umr bhar kahin•
Phir soch lo, kahin humein farqat na maar de•
Phir yun hua ke waqt ka kasah ult gaya•
Hum dar gaye kahin humein 'USRAT' na maar de•
Kehte hain log sabr ka hota hai meetha phal•
Thehro, ruko, suno, tumhein ajalat na maar de•
Bas is liye main tere barabar na aa saka•
Main sochta tha mujh ko yeh shohrat na maar de•
Aata zaroor toor pe main dekhne use•
Phir dar gaya kahin mujhe hairat na maar de•
Har shakhs apna hota nahin tu jaan le•
    •Ay DiL•
Tujh ko kahin lehaaz o murawwat na maar de"

Post a Comment

0 Comments