Ab waqt-e-judai hy mujay alvida keh do Ab jane ka waqt hy mujy alvida keh do Me bakhshish ka zariya tha tumhary liye Dil ro raha hy magar ab alvida keh do Tumhy afsos to hoga mere jane par Aaonga lout k phr ab alvida keh do Tumhary liye rehmat ki waja tumhari bakshish ka sabab kar lia khuda ko razi to mujhe ab alvida keh do Me ne tumhey chalna sikha dia manzilon ka pata bata dia Me na chal sakon ga tumhre 7 ab Alvida keh do Alvida alvida Mah-e-Ramazan..

Post a Comment

0 Comments