Mataa-e-Shaam Bastiyon Mein Chorr Aaye
Bhujey Charagh Hum Apney Gharon Mein Chorr Aaye
Bicharr K Tujh Se Chale To Ab K Youn Huwa
K Teri Yaad Kahin Raaston Mein Chorr Aaye
Hum Apni Darbadri Ka Mushaida
Aksar Nasihaton Ki Tarah
Kum Sino'n Mein Chorr Aaye
Khiraj-e-Seel Balaa Is Se Barh K
Kiya Ho K Log Khule Makaan
Bhari Barish Mein Chorr Aaye
Ghirrey Hain Lashkar Aadad Mein
Aur Sochte Hain Hum Apney Teer
To Apni Saf'foon Mein Chorr Aaye
Hawa Hi Din Mein Parinday Uraaye
Phirti Hawa Hi Phir se Unhein
Ghonsloon Mein Chorr Aaye
Kise Khabar Hai K Zakhmi Ghazaal
Kis K Liye?
Nishaan Lahoo K Ghaney Jangalon Mein Chorr Aaye
Hamaray Baad Bhi Ronaq Rahe Gi
Maqtal Mein Hum Ahl-e-Dil Ko
Bharey Hoslon Mein Chorr Aaye
Urain Ge Kiya Woh Parinday
Jo Apnay Rizq Samait
Safar Ka Shoq Bhi Toote Parron Mein Chorr Aaye
Sadaa Sukhi Rahein Chehray
Wo Jinhein
Mohsin
Bujhey Gharon Ki Khuli Khirrkiyon Mein Chorr Aaye

Post a Comment

0 Comments