Teri rehmaton k diyar main


Teri Rehmaton K Diyaar Mein
Teray Badalon Ko Pata Nahi
Abhi Aag Sard Nahi Huwi
Abhi Ek Alao Bujha Nahi
Meri Bazm-e-Dil To Ujarr Chuki,
Mera Farsh-e-Jaan To Simmat Chuka
Sabhi Ja Chukay Meray Hum-Nasheen
Magar Eik Shakhs Gaya Nahi
Dar-o-Baam Sub Ne Saja Liye,
Sabhi Roshni Mein Nehaa Liye
Meri Ungliyan Bhi Julas Gayein
Magar Ek Charaagh Jala Nahi
Gham-e-Zindagi Teri Rah Mein,
Shab-e-Aarzo Teri Chah Mein
Jo Ujarr Gaya Wo Basa Nahi,
Jo Bicharr Gaya Wo Milla Nahi
Jo Dil-o-Nazar Ka Saroor Tha
Meray Paas Reh K Bhi Door Tha
Wohi Ek Ghulaab Umeed Ka,
Meri Shaakh-e-Jaan Pe Khila Nahi
Pass-e-Kaarwan, Sar-e-Rehguzar Mein
Shikasta Paa Hoon To Is Liye
K Qadam To Sub Se Mila Liye
Mera Dil Kisi Se Mila Nahi
Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai
To Ajeeb-Tar Hoon Mein Aap Bhi
Mujhey Manzilon Ki Khabar Nahi
Usay Raston Ka Pata Nahi 

Post a Comment

0 Comments