Haseen hy Sham yoon jesy Koi Singhaar karta hy 
Dilon py Doobta Sooraj kuch Aisy Waar karta hy 

Hain Lab Khamosh, Maathy par Shikan, Aankhon main Afsany 
Mujy lagta hy Waaiz bhi Kisi sy Pyar karta hy 

Ajab ye Dil Ajabtar Silsily is Dil k Dekhy hain.. 
Tamasha jab bhi karta hy Sar_E_Bazaar karta hy.. 

Hamary Rang sy hi in Nazaron main hy Rangeeni.. 
Bahaar_E_Nou ka Sooraj bhi Mera Deedar karta hy.. 

Koi Poochy agar Mera! Faqat itna Bata Dena.. 
Hseenon k Nagar men Dil ka Karobar karta hy.. 

Taqaza_E_Mohabbat main Ajab Andaaz hain Us k.. 
Idhar Taazeem karta hy, Udhar Takraar karta hy.

Post a Comment

0 Comments